Showing posts with label love couple shayari. Show all posts
Showing posts with label love couple shayari. Show all posts

Wednesday, January 4, 2017

Most Romantic Love Shayari in Hindi


Rait par likh ke mera naam mitaya na karo,
Aankhen sach bolti hain, pyaar chupaya na karo,

Log har baat ka afsana bana lete hain
Sab ko haalaat ki rudaad sunaya na karo,

Ye zaroori nahin har shakhs masiha hi ho
Pyaar ke zakhm amaanat hain dikhaya na karo,

Shahar-e-ehsaas mein pattharaav bahut hain
Dil ko shishe ke jharonkhon mein sajaaya na karo....
Share:

Sunday, October 16, 2016

Har Waqt Apni Aankhon Ke Samne Tumko Paya Hai You Are My Valentine


Har Waqt Apni Aankhon Ke Samne Tumko Paya Hai,
Apne Jahan-E-Dil Mein Sirf Tumko Hi Basaya Hai,

Hisab-E-Mohabbat Kabhi Na Puchhna Mujhse,
Kyonki Khud Ko Khone Ke Baad Tumko Paya Hai,

Kabhi Chodna na sath mera Meri Maksad-E-Zindagi,
Ek Arshe Ke Baad Dil Aaj Muskaraya Hai,

Hansi De Ke In Labon Ko Kabhi Rula Na Dena,
Zindagi Tumse Hi Hai Meri Ye Samajh Aaya Hai,

Zindagi Ki Raahon Mein Kabhi Na Ruthna Mujhse,
Maine Apne Khawabon Ko Tumse Hi Sajaya Hai.....
Share:

Sunday, October 9, 2016

Shayari for Valentine Day Tujhe Chahte Hai Be Inteha Par Chahna Nhi Aata


Tujhe chahte hai be inteha par chahna nhi aata,
Ye kaisi mohabbat hai k hamein kehna nahi aata

Zindagi mein aa jao hamari zindagi ban kar,
Ke tere bin hamein zinda rehna nahi aata,

Har pal tujhe bus tujhe duaon me mangte hain,
Kya kare ke tumhare siwa kuchh mangna nhi aata..


Share: