Showing posts with label Best Shayari. Show all posts
Showing posts with label Best Shayari. Show all posts

Tuesday, January 31, 2017

तुझे खोना भी मुश्कील है, तुझे पाना भी मुश्कील है !

तुझे खोना भी मुश्कील है, तुझे पाना भी मुश्कील है.
जरा सी बात पर आंखें भीगो के बैठ जाते हो,
तुझे अब अपने दील का हाल बताना भी मुश्किल है,
उदासी तेरे चहरे पे गवारा भी नहीं लेकीन,
तेरी खातीर सीतारे तोड़ कर लाना भी मुश्कील है,
यहाँ लोगों ने खुद पे परदे इतने डाल रखे हैं,
कीस के दील में क्या है नज़र आना भी मुश्कील है,
तुझे जींदगी भर याद रखने की कसम तो नहीं ली,
पर एक पल के लिए तुझे भुलाना भी मुश्कील है
Share:

Saturday, February 27, 2016

Kuch is tarah ka bhi karte hai ham



Muhabbat mukkadar hai.. Ek Khwab nhi,
ye wo rishta hai jisme sab kamiyab nhi.
jinhe mila saath unhe ungliyo pe gin lo,
or jinhe mili judai unka koi heesab nhi.






Kuch is tarah ka bhi karte hai ham gazab dono,
K rooth jate hai apas mai be sabab dono,
Kare jo baith kar baate to baat ban jaye,
K baat ek hi karte hai mil k lab dono.
Share:

Na jane kab wo haseen raat hogi



Na jane kab wo haseen raat hogi, 
jab unki nigahe humari nigaho ke sath hogi,
baithe hai hum us raat ke intzaar me,
jab unke hontho ki surkhiya humare hontho ke sath hogi.




Dil ka dard palko k kinaro me kaid hai,
ehsaas unka hawa k isharo me kaid hai.
Unko hum bhule bhi to kaise bhule,
jinko pane ki arzoo tute sitaro me kaid hai.
Share:

Thursday, January 14, 2016

Monday, January 11, 2016

Saturday, January 9, 2016

Tumse kitni mohabbat hai ye


"Tumse kitni mohabbat hai ye main bata nahi sakta, 
Apni zindagi mein tumhari ehmiyat jata nahi sakta. 
Meri zindagi ka har lamha tumhi se shuru hota hai, 
Tumse door reh ke ek pal bhi akele bita nahi sakta. 
Mumkin hai main khud ko bhool jaaun, 
Par tumhe bhulane ki khata main kar nahi sakta.
Tum mere dil me hi nahi mere rag-rag me base ho, 
Tumse bichhad ke main ye zindagi jee nahi sakta."

Share:

Tuesday, December 22, 2015

Saturday, December 5, 2015

Wednesday, December 2, 2015

Aisa nhi k ye zindgi buri hai

""Aisa nhi k ye zindgi buri hai,
Par school or clg life ki baat kuch or thi
.
Aisa nhi k ab hasi nhi aati,
Par dosto me beth kr khil-khilane wali bat Kuch or thi
.
Aisa nhi k ab tension se raat nhi guzarti,
Par exams ki raato me jagne wali bat Kuch or thi
.
Aisa nhi k aage aa kr kuch hasil na kiya ho,
Par passing marks le kr party udane wali bat Kuch or
thi
.
Aisa nhi h ki ab logo ko jante pehchante nahi,
but woh duur se 'kamine rukk' bolke dost ko awaz dene ki baat hi kuch aur thi
.
Aisa nahi hai ki ab tiffin share nahi karte,
but canteen mein kisi aur ke plate se cheen ke khane ki baat kuch aur thi
.
Aisa nhi k ab zindgi nhi kat rhi hai,
Par dosto me zindgi jine ki bat hi kuch or thi
.
Dedicated to all friends
For your busy scedule in your job n business.""
Share:

Monday, November 30, 2015

Wo inkar karte hain ekrar ke liye


""Wo inkar karte hain ekrar ke liye.. 
Nafrat bhi karte hain to pyar ke liye, 
Dost ulti chaal chalte hain yeh ishqwale, 
Ankhein band karte hain deedar ke liye.""





""Kuch nasha to aapki baat ka hai.. 
kuch nasha to aap ki mohabbat ka hai, 
Dost hume aap yun hi sharabi na kahiye, 
is dil par asar to aap se mulakat ka hai!"" 
Share:

Wednesday, October 31, 2012

Aaj Bheegi H Palke...

Aaj Bheegi H Palke Ek Fariyad Me,
Ashq Bhi Simat Gya H Apne Aap Me,
Oos Ki Bunde Aise Bikhri Patto Par,
Maano Chand Bhi Roya Ho Kisi Ki Yaad Me.


Aapki Nasili Yaado Me Doob Kar,
Humne Ishq Ki Gehrai Ko Samjha,
Aap To De Rahe The Dhokha Aur,
Humne Jan Kar Bhi Kabhi Aapko Bewafa Na Samjha.
Share:

Thursday, September 13, 2012

Fanna Movie Shayari

Tere Dile mein meri saanson ko panah mil jaaye Tere Ishq mein meri Jaan Fanaa Ho jaayeā.

E Khuda Aaj Ye Faisla Karde,
Use Mera ya Mujhe Uska Karde.
Bahut Dukh Sahe He Maine,
Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde.
Bahot Muskil Lagta Hai Usse Duur Rehna,
Judai Ke Safar Ko Kum Karde.
Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse,
Use Utna Kareeb Karde.
Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam,
To Khatam Kar Ye Zindagi aur Mujhe FANAA Karde.


Ankhen to pyar me dilki zuban hoti hai,
sachi chahat to sada bezuban hoti hai,
pyar mai dard bhi mile to kya gabrana,
suna hai dard se chahat aur jawan hoti hai....

And More Shayari Related to This movie See Here Fanna Shayari
Share:

Wednesday, September 12, 2012

Kitni Mushkil Se Kati Kal Ki Meri Raat Na Pooch...

Kitni Mushkil Se Kati Kal Ki Meri Raat Na Pooch,
Dil Se Nikli Hui Honthon Mein Dabi Baat Na Pooch,
Main JisKe Waste Lad Jaoon Is Khudai Se,
Mujhe Khud Se Hai Pyari Yeh KisKi Zaat Na Pooch,
Wo Kis Ada Se Mere Samne Se Ghuzri Hai Abhi,
Kis Tarha Maine Sambhale Mere Jazbat Na Pooch,
Waqt Jo Badla To Insan Badal Jaata Hai,
Kya Nahi Dikhlate Yeh Gardish-E-Halat Na Pooch,
Woh KisKi Ho Bhi Gayi or Mujhe Khabar Na Hui,
Kis Tarha UsNe Chhudaya Hai MujhSe Haath Na Pooch,
Is Tarha Pal Mein Mujhe Begana Kar Diya UsNe,
Kis Tarha Apno Se Khai Hai Maine Maat Na Pooch,
Ab Tera Pyar Nahi Hai Tu Sanam Kuch Bhi Nahi,
Kitni Mushkil Se Bani Thi Dil Ki Kainat Na Pooch..!!!
Share:

Wednesday, July 11, 2012

Kabhi kehti thi mujhe ke

kabhi kehti thi mujhe ke koi duaa hoon mai aaj wo keh gai mujhko ki bewafa hoon mai..
wo jee na paati thi lamha kabhi bagair mere aaj kehne lagi mujhko ki ek sazaa hoon mai..
yahi dastoor hai aur aisa hi hota aaya lagi maashuq ke mehndi aur aashiq rota aaya..
magar riwaaz bhi ye ulta kar diya maine bina chaahat kisi ki maang bhar diya maine..
kiya hai jo bhi ispe khud se hi khafa hoon main aaj wo keh gai mujhko ki bewafa hoon mai..



Kaun kehta he uske bina main mar jaunga,
Dariya hu sagar mei utar jaunga,
Wo taras jayegi pyar ki ek boond ke liye,
Main to badal hu kisi aur pe baras jaunga.
Share:

Wednesday, January 25, 2012

khushbuon ka to sirf...

Raat hogi to chand B duhai dega,
Khayalo me vo chehra B dikhai dega;
Ye mahobbat hai jara soch kr krna,
Jo ek Aanshu B gira to sunai dega....

Dil lagana chod diya humne
aanso bahana chod diya humne .
bahut kha chuke dhokhe pyar me,
muskurana isliye chod diya humne.

khushbuon ka to sirf ehsaas hota hai,
Dil to Dil ke pass hota hai,
har baat ko juban se kehna mumkin nahi,
sache pyaar ki pehchaan to bas vishwaas hota hai.
Share:

Wednesday, May 4, 2011

Karenge Tumse Hum Wafa...

Karenge Tumse Hum Wafa Har Ghadi,
Kabhi Shikayat Ka Mauka Na Denge.
Hanste-Hanste Guzarenge Zindgi Ka Har Lamha,
Kabhi Ruthne Ka Mauka Na Denge...


Gamo Ki Barsaat Samete Betha Hu,
Kisi Bewfa Se Dhoka Khaye Betha Hu.
Jane Kab Dega Upparwala Maut Mujhe,
Khuda Ke Bharose Aas Lagaye Betha Hu...


Mohbbat K Naam Pe Humse Khela Gya,
Arman Bhare Khwab Saja ke Toda Gya.
Kyu Na Hanse Duniya Sari Hum Pe,
Jabki Dil Ko Mere Khilone Se Behlaya Gaya...
Share: